hum bharat hai...

Thursday, November 26, 2009
tu koshish karle kitni bhi,
hum ko na giraa paayega tu
tu dehshat failale kitni bhi,
hun ko na daraa payegaa tu
hum bharat hai, bharat hum se hai,
hamarii hasti na mitaa payega tu...

kabhi kashmir pe,kabhi dharam pe
kab tak humein bantega tu,
par hum na kabhi juda honge
kab yeh sachai janega tu,
hum bharat hai, bharat hum se hai,
hamarii hasti na mitaa payega tu...

tu peeth pe vaar karega
kya hum ko ghayal kar payega tu
hum ko jalane ki sochegaa,
us aag mein khud jal jayega tu
hum bharat hai, bharat hum se hai,
hamarii hasti na mitaa payega tu...


tu hamara agar ek marega,
yaha jan sailab aa jayega,
agar aaye hum apni pe,
tera naam-o-nishan mit jayega,
hum bharat hai, bharat hum se hai,
hamarii hasti na mitaa payega tu...


5 comments:

Anonymous said...

hey dats inspiring

Unknown said...

it is really very nice dear keep it up

Unknown said...

Keeep it up Sunill... that's nice. ;)

Nipun said...

Good hai re...isko aur lamba kar na...make it more inspiring!

Sunil :) said...

@nipun..bhai lamba karunga to log dar k mare padhnge hi nhi