dil

Friday, June 12, 2009

Pta tha mujhe mera dil sheeshe ka tha to ek din tutna hi tha,

Pal do pal ka hmara sath tha, jo kabhi na kabhi chutna hi tha

Par pta nhi yeh waqt itni jaldi Kyu aa gya,

Teri kismet mein khushiyaa,meri mein ronaa aa gya…


Kitni bhi door chale jaye, par dil mere mein hi rahegi,

Meri har saans ab tera naam hi le ke chalegi,

Na lagati dil agr pta tha ki ek din chod k chale jayegi

Ab tujhe tab hi bhulenge jis din saanse ruk jayengi


Dil nhi lagana tha to itna pyar kyu dikhaya,

Nhi nibhani thi to mujhe apna kyu bnaya,

Kehte hai yaha apne hi dhokha de jate hai

Mujhe mere dil ne dhokha diya jo tere sath dil lagaya,


Pyar karna koi khel nhi hai jis marji se jab chaho karlo jab chaho chod do

Dil tha mera koi kaanch ki chudi nhi jise jab chaho pehen lo jab chaho todh do

Main to tere pyar ko apni zindagi samjh baitha tha,

Shayad tere liye kachi dor thi jise jab chaho todh do


Bhul gyi who din jab chup chup k the hum mile,

Ab nhi yaad tujhe teri shikayte aur shikve gile

Leke jar ha hu apne sath tere sath bitai k uch yaade udhar

Bas rabb se dua hai tujhe mere hisse ki bhi khushiyaa mile…

3 comments:

Anonymous said...

Nyce shayri..

v tragic..

Unknown said...

wah wah kya baat hai....kamal kar diya...

Unknown said...

yup its really very nce sayng g very gud ........